Dagh e Furqat e Taiba Qalb Muzmahil Jata
Kash gumbad e khazra Dekhne ko mil jata
Dam meera nikal jata unke Aastane per
Unke Aastane ki khak main main mil jata.
Mere Dill Se Dhol jata dagh e Furqat e Taiba
Taiba main fana huker Taiba hi Main mil jata.
Maut leke Aajati Zindagi Madine main
Maut se gale mil ker Zindagi main mil jata.
Khuld Zaar e Taiba ka is tarah safar huta
Peche peche sar jata Aage Aage Dill jata.
Dill pe jab kiran padh ti unke Sabz Gumbad ki
Uski Sabz rangat se baag banke ke khil jata.
Furqat e Madina ne wo diye mujhe sadme
Koh per agar pad te koh bhi tu hil jata.
Dill mera bicha huta unki rah guzaroon main
Unke Naqshe Paa Se yoon mil ke mustaqil jata.
Dill pe wo khadam rakhte naqsh paa ye Dil banta
Ya tu khak e paa banker paa se mutasil jata.
Wo Khiraam Fermate mere deeda o Dil main
Deda Main fida karta sadq e mera Dil jata.
Chashme tar wahan bahti Dil ka mud Dua kahti
Aha ba Adab raheti monh mera sil jata.
Der pe Dil jhuka huta izn paa ke phir badhta
Her gunaha yaad ata Dil khajil khajil jata.
Mere Dill main bas jata jalwa Zaar Taiba ka
Daag e Furqat e Taiba phool banke khil jata.
Unke der pe Akhtar ki hasrate huyen poori
Sail e Dare Aqdas Kaise munfa il jata