Pages

muhammad mazhar e kamil lyrics

Naat sharif

Kalam e Ala Hazrat track 7


Muhammad Mazhar e kamil hai Haq ki shan e izzat ka

Nazar Ata hai is kasrat main kuch andaaz o wahdat ka.


Yahi hai asal alam maadaye ajaad e khalkhat ka

Yahan wahdat main barpa Hai ajab hangama kasrat ka.


Gada bhi muntazir hai khuld main nikoon ki dawat ka

Khuda din khair se laye sakhi ke gher zayafat ka.


Na rakhi gul ke josh e husn ne gulshan main ja baqi

Chatakta phir kahan guncha koi bage risalat ka.


Badha ya silsila rahemat ka daur e zulf e wala main

Tasalsul kale ko soon rah gaya isyaan ki zulmat ka.


Safe maatam uthey , Khali ho zindaa,n , toteen Zanjireen

Gunah garoon ! Chalo maula ne der khola Hai jannat ka. 


Sikhaya hai ye kis gustakh Ne Ayene ko ya rab

Nazzara roye Jana ka bahana kar ke hairat ka.


Idher ummat ki hasrat  per udher khaliq ki rahemat per

Nirala toor huga gardish e chashme Shafa'at Ka.


Badhee'n is darja maujen kasrat e afzaal e wala ki

Kinara mil gaya is naher se derya e wahadat ka.


Kham e zulf e nabi sajid hai mehrab e do abro main

Ke ya rab tuhi wali hai siya karan e ummat ka.


Madad aye joshish e girya bahad e koh aur sehra

Nazar ajaye jalwa be hijaab us paak turbat ka.


Yakheen hai waqt e jalwa lagzesh e paye naga paye

Mile joshe safaye jism se paa boos Hazrat ka.


Yahan chidka namak waa,n marham e kafoor hath aya

Dil e zaqmi namak perwarda hai kiski malahat ka.


Ilahi muntazir hoon wo khiram e naaz fermayen

Bucha rakha hai farsh Aankhon ne kam qawab e basarat ka.


Naho aaqa ko sajda Aadam o yousuf ko sajda ho

Magar sadde zarya daab hai apni shariat ka.


Zaban e khaar kis kis dard se un ko sunati hai

Tadapta dasht e Taiba main jigar afgaar furqat ka.


Jineh marqad main ta hashr ummati kahe  kar pukaro gee 

Hame bhi yaad karlo unme sadqa apni rahemat ka.


Wo chamke bijliyaan ya rab tajalli haye jana se

Ke chashme toor ka surma ho Dil mushtaaq royat ka.


Raza E khasta! Josh e bahre isyaan se Na ghabrana 

Kabhi tu hath ajaye ga daman apni rahemat ka.

Kalam e Ala Hazrat


1 comment

  1. Thank you
Please have any doubts, please let me know
Post a Comment