Pages

khwaja moinuddin chishti history

Khwaja moinuddin chishti history  :


Alhamdu lillahi rabbil aalameen

Waslatu waslamu ala sayadil mursaleen 

Amma baadu ! Fa Aoz Billahi minash shaita nir rajeem 

Bismilla hir raheman nir Raheem.


Durood Shareef Ki Fazilat

Hazrat e sayiduna abu hurera r.z 

Riwayat karte Hain ke hozor sallallahu alai wasallam ka ferman hai apne gharon ko khabrastan matt banao aur na hi meri khabr ko eid banao aur mujh per durood e paak padha karo , beshak tumahara durood mujh tak pahunchta hai chahe tum Jahan bhi hu.

Sallo alal habeeb! Sallallahu ala Muhammad


Khwaja moinuddin chishti history ;: Aap hind Shareef main


Aap rahe matulha alahe chatti Sadi Main hind tashreef laye aur aik Azeem ul shaan rohani o samaji inkhelaab ka baa is bane hatta ke hind ka zalim o jabbir hukumraan bhi aap ki shaq siyat mar oob huker taib hua aur akhidat mandon main shamil hugaya. Aye ! Khwaja moinuddin chishti history) gareeb Nawaz ki Zindagi ke haseen pahiloo'n ko mulahiza kijiye.


Wiladat e Ba Sa'aadat


Hazrat sayiduna khwaja Gareeb Nawaz sayid moinuddin Hassan sanjeri chisti ajmeeri rahe matulha alahe 53 hijri ba mutabikh 1142 isvi main sijistaan " Sanjar main paida huye.


Walidain karimain


Aap rahe matulha alahe ke walid Majid sayid gayas ud din rahe matulha alahe jinka shumar "Sanjar" ke umer auraosa Main huta tha, inte hayi muttakhi o perheez gaar aur sahib e karamat buzrug they.

Neez aap rahe matulha alahe ki walida majida aksar aukhat ibadat o riya zat main mash gool rahene wali neek seerat khatoon they.


Wali ullha ke jhote ki barkat


Aik roz harat Khuwaja moinuddin chisti ajmeri rahe matulha alahe baag main paodoon ko paani dee rahe they ke aik majzoob buzrug Hazrat sayiduna Ibrahim khandozi rahe matulha alahe baag main tashreef laye. Joohi Hazrat sayiduna khwaja Gareeb Nawaz rahe matulha alahe ki Nazar unpe pade tu faron daood pade , Salam kiya dast busi ki aur nihayat adab o ahetraam ke sath daraqt ke saye main bhitaya. 


Phir unki khidmat Main inte hai ajizi ke saath taaza angooron ka aik khaosha peesh kiya Aur dozano baith gaye. Allah azwajal ke wali ko is naojawan baagban ka andaaz bhagaya, khush huker khalli ( til ya sarson ka phook ) ka aik tokda chaba ker aap rahe matulha alahe ke moon main daal diya. Khalli ka tokda niche uttar na tha ,aap rahe matulha alahe ke Dil ki kaifiyat yakdam badal gayi aur Dil dunya ki mahubat se uochaad hugaya. Phir aap rahe matulha alahe me apna baag pan choki aur sara sazo samaa'n fukhra masakeen main taqseem fermadi aur husol e ilm deen ki khatir rahe khuda ke musafir ban Gaye.












Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment