Munkhabat shahinshah e Auliya Gous e paak
Tu hai wo gause ke her gous hai shaida Tera
Tu hai wo gais ke her gais hai piyasa Tera.
Suraj Agloon ke chamakte they chamak ker Dobe
Ufaq Noor pe hai mahir hamesha Tera.
Jo wali qabal they yaa baad huye ya hoonge
Sub Adab rakhte hain Dil main mere aqa Tera.
Saare Aqtaab jahan karte hai taawaf
Kaba karta hai tawaf e daar e wala Tera.
Kis gulsitaan ko nahi fasl e bahari se niyaz
Kon se silsil e main faiz na aya Tera.
Nahi kis chaand ki manzil main tera jalway Noor
Nahi kis aina ke gher main ujala Tera.
Raaj kis shahir main karte nahi tere khuddaam
Baaj kis nahir se leeta nahi derya Tera.
Mazraye chist o bukhara o iraaq o ajmeer
Konsi kisht pe barsa nahi jhala Tera.
Aur maheboob Hain,haan per subhi yaksaan tu Nahi
Yoon tu maheboob hai her chahne wala Tera.
Gerdane jhok gain sar bujh gaye Dil loot Gaye
Kashf e saaq aaj kahaan ye tu qadam tha Tera.
Aadmi apne hi ahwaal pe karta hai khiyaas
Nashe walon me bhala sukr nikala Tera.
Wo tu chota hi kaha chahen ke Hain zair e hazeez
Aur her Aooj se uoncha hai sitara Tera.
Dil e Aada ko raza teez namak ki dhon hai
Ik zara aur chidakta rahe khaama Tera.