Rozo shab josh pe rehmat lyrics owais raza qadri:
Rozo shab Josh pe Rehmat ka hai darya tera
Sadqe is shan e Sakhawat pe ye mangta tera
Hath uthey bhi na they aur mil Gaya sadqa tera
waah Kiya jood o karam hai shah e batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera.
Wo haqeeqat teri jibreel jise na jaane
Kis tarah log bhala rutba tumahara jaane
Tod De likh ke khalam yon hi Jo likhna Jane
'Farsh wale Teri shaokat ka uloo kiya Jane
Khusruwa Arsh pe udta hai pharera tera.
Chandni raat main jaabir ka nazara dekhen
Chand ko wo kabhi sarkar ka chahra dekhen
Dekh ker bolen Jamal e shah e wala dekhen
Tere khadmon main Jo hai gair ka Mon Kiya dekhen
Kon nazroon pe chadehe dekh ke talwa tera.
Na koi tujh sa Sakhi hai na koi mujh sa gareeb
Chashme bedar jagade mere khabida Naseeb
Hai riza teri riza rab ki tum itne ho qareeb
Main tu Malik hi kahon gaa ke ho Malik ke habeeb
Yaani maheboob mohib main nahi mera tera.
Teri khairaat ka Ek zarra kare hum ko nihaal
Kis tarah jayen kisi aur ke dar baher e suwaal
Silsila apni Ataon ka rakhna yoheen bahaal
Tere tokdon se pale gair ki thokar pe na daal
Jhid kiyan khaye kahan chood ke sadqa tera.
Ger gunahon ke sabab tumne diya dar se nikal
Is tasawor se He Hojayen tere banday nidhaal
Kon rakhe ga Teri taraha fakheeroon ka khayal
Tere tokdon se pale gair ki tokher pe nadal
Jhidkiyan khaye kahan chood ke sadqa tera.
Tujh Ko Bakhshi Tere Maa'bood Ne Azmat kitni
Bakhshi jaigi Tere sadqe main ummat jitni
Waa'n nazar aaigi kausar main hai kasrat kitni
*Ek main kiya? mere isyaan ki haqikhat kitni
Mujh se sau laakh kafi hai ishaara Tera.
Tu jo sahra main qadam Rakh de, phool khileen
aur jabal soone ke chaandi ke Tere saath chaleen
Tu jo chahe to subhi gam mere khushiyoon main dhaleen
*Tu jo chaahe to abhi miel mere Dil ke dhuleen
Ke khuda Dill nahi karta kabhi maila Tera.
Daulat e ishq se dil mera gani karde ke hai
Gum rahoon tujh me meri khatam khudi karde ke hai
Mujh gunahagaar pe rahmat ki jhadi karde ke hai
Meri taqdeer buri ho tu bhali karde ke hai
Mah o isbaat ke daftar pe kadoda tera.
Hain jo bee zaar meri sarkar ! Unheen zarde ke hai
Be tiyaan jin ki kunwaari hain unheen barde ke hai
Chat nahi jinko mayasar unhen ik ghar deke hai
Meri taqdeer buri ho tu bhali kare de ke hai
Mah o isbaat ke daftar pe kadoda tera.
Kaaba e jaan ka mele hashar meen jab mujh ko gilaaf
Saath maa baap hoon ahebaab hoon aur akhlaaf
Is niyat pe yahi shoor tha chaho ayete raaf
Choor Hakim se chupa karte hain yaan iske khilaf
Tere daman me chupa choor anokha Tera.
Mere isa tere bimaar pe kaisi guzre
Be nawa zaar pe laachar pe kaisi guzre
Naza ke waqt gunahagaar pe kaisi guzre
Door kiya jaaniye badkaar pe kaisi guzre
Teri hi der pe mare be kaso tanha tera.
waah kiya shaan ba dhaai hai khuda ne teri
Awwaleen akhreen sub hamd karenge teri
Daude sub jaam ba kaf batne lage mai teri
Tere sadqe mujhe ik boond bahut hai teri
Jis din achchoon ko mele jaam chalakta tera.
Az pa-e-khaaliq-o-rahmaan-o-wali karde ke hai
Sadqa-e-faatima, hosain-o-Ali karde ke hai
Tu hai mukhtar , paye gaus e jali karde ke hai
*Meri taqdeer buri ho to bhali karde ke hai
Mahw o asbaat ke daftar pe kadoda tera.
Gar talab Hai ke bar ayen teri hajaat e jami
Kar ubeed apne Raza ki zara taqleed e waki
Pesh ker tu bhi yahi khawl e ba dargah e waqi
*Teri sarkar main lata hai Raza usko shafi
Jo mera gause hai aur ladla beeta Tera.
Daman me yun chopa loo digar ko khabar na ho lyrics ✍️
subscribe kijiye jazak allha khaira
https://youtube.com/c/MahammedyounusRazaqadri