Pesh-e-Haqq muzhda shafaa’at ka sunaate jaayenge,
Aap rote jaayenge hum ko hansaate jayenge.
Dil nikal jaane ki jaa hay aah kin aankhon sey woh,
Hum sey pyaason key liye dariya bahaate jaayenge.
Kushtgaan-e-garmi-e-mehshar ko woh jaan-e-Maseeh,
Aaj daaman ki hawa de kar jilaate jayenge.
Gul khilega aaj yeh unki naseem-e-faiz sey,
Khoon rote aayenge hum muskuraate jayenge.
Haan chalo hasrat zado sunte hain woh din aaj hay,
Thi khabar jiski key woh jalwah dikhaate jaayenge.
Aaj ‘eid-e-aashiqaan hay gar Khuda chahe keh woh,
Aabroo-e-paywastah ka ‘aalam dikhaate jaayenge.
Kuch khabar bhi hay faqeero aaj woh din hay keh woh,
Ne’mate khuld apne sadqe mein lutaate jayenge.
Khaak uftaado bass unke aane hi ki der hay,
Khud woh girkar sajde mein tumko ut-haate jaayenge.
Wus’atein dee hay Khuda ne daaman-e-Mehboob ko,
Jurm khulte jaayenge aur woh chhupaate jaayenge.
Lo woh aaye muskuraate hum aseeron ki taraf,
Khirman-e-‘isyaan pe abb bijli giraate jayenge.
Aankh kholo ghamzado dekho woh giryaan aaye hain,
Lauh-e-dil sey naqsh-e-gham ko ab mitaate jaayenge.
Sokhtah jaanon pe woh pur-josh-e-rehmat aaye hain,
Aab-e-kausar sey lagi dil ki bujhaate jaayenge.
Aaftaab unka hi chamkega jab auron key charaagh,
Sar-e-sar-e-josh-e-balaa sey jhilmilaate jaayenge.
Paaye kubaan pul sey guzrenge teri aawaaz par,
“rabbe sallim” ki sadaa par wajd laate jaayenge.
Sarwar-e-Deen lijiye apne naa-tawaano ki khabar,
Nafs-o-shaytaan sayyida kab tak dabaate jaayenge.
Hashr tak daalenge hum paidaaish-e-Mawla ki dhoom,
Misle faaras najd key qal’-e- giraate jaayenge.
Khaak ho jaayein ‘adoo jal kar magar hum to RAZA,
Dum mein jab tak dum hay zikr unka sunaate jaayenge.