Pages

Tajushariya Biography in hindi | Akhtar Raza khan qadri | part 1

   Huzor Tajushshariya  Rahematullha Alahe 


Ki  Zaat  muhtaj e tarof nahi hai . Deen o sunniyat ki khidmat hi aap ka oodhna bichona tha. aap jamie al safat shaqsiyat they. baik waqt Tasaneef o Taleef , waaz o taqreer irshad  , ifta o tadrees mai mash gool rahete They.


aapki ki 40 se ziyada Tasaneef aap ke fazal o kamal ki shahid hain. Huzoor tajushariya 

shero shairi ka bhi umda Zaoq rakhte they. Aap ka ka kalam sayedi Ala hazrat ke kalam Be misal ka aks nazar ata hai. 


Hazrat allama akhtar raza khan azhari ke nagmat o roshan sitare Jo ashikhan e mustafa sallalhu ala muhammed o niyaz mandan e auliya ki rahe muhabbat mai bher poor raha nomai karte hain. un nagmaat se hama waqt jag mag jag mag rahe ta hai.


naagmat naat e nabi ke geet aur auliya karam ki munqabaten sitare bhi hain aur safinaye bhi hain. raasta bhi dekha te aur kashti ye aqidad o ulfat ko sahil per bhi lagate hain.


Aap ka kalam safinai bakhshish  Aik aise shewa bayan shair ki dilkash naaton , monqabaton, aur nazmon ka majmuwa hai. jaise Degar Alom o Fanoon ki taraha shairy bhi warsa mai meli hai .

 Aur haqiqat tu ye hai ke ilm jis ke aastana ka pahra Daar aur Zuban jiske gher ki Bandi hia aur ishq e mustafa sallalahu alaihi wasalam jis ki sub se badi daulat o niyamat aur sarmaye jan o imaan hai aur haqiqat ye hai.

 Eshq e sarwar hi imaan hai aur baad aisa mahesoos huta hai ke husn manani Husn o aqidad mai zam hukar sarmadi nagmoon main dhal gaya.


Aap ke  kalam main huzor Ala hazrat imam ahmed raza khan fazil bareily ke fikr o qayal aur ilmi jhalak ke sath sath ustad e zaman allama hasan raza khan hasan ki rangini aur mufti Azam hazrat allama mustafa raza khan noori ke kalam ki sadgi aur jazba o kholos ki sachai mokammal taur se Nazar ati hai.


wiladat Baa Sa, adat :

               Huzor Tajushshariya  rahe matullha alahi

ki wiladat baa sa'adat mangal hindustan ke shaher bareily mai shareef ke muhalla sauda giran main hui.


Ismain girami:::

Aapka ismain girami " Muhammed ismail raza " jabke  arfiyat " Akhtar raza " hai. Aapke alkhabaat main Tajushshariya , janasheen e muftiye Azam , Shaik khul islam o muslimeen  ziyada mash hoor hain.


Shajraye Nasab:::

 Ala hazrat imam ahle sunnat razi allhu anho tak aapka shajra 'ye nasab yoon hai.


muhammed akhtar raza khan qadri azhari bin ibraheem raza khan qadri ' bin muhammed hamid raza khan qadri razvi bin imam ahemad raza khan qadri barkatti breilvey.









Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment