Monqabat
Siddiq Maula Mere, Siddiq Maula
Abu Bakar, Abu Bakar, Abu Bakar, Abu Bakar, Abu Bakar, Abu Bakar.
Siddiq e Akber, Siddiq e Akber, Siddiq e Akber.
Ya ameer ul momineen, ya ameer ul momineen, ya ameer ul momineen.
Pahele sahabi mere Siddiq Hain,
Pahele khalifa Mere Siddiq Hain,
Bilal ko gulam se azad karaye,
Imamat e ali umer usman karaye,
Bolo Bolo.
Siddiq Maula Mere, Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.
Rasool e paak ki chahat Abu Bakar Siddiq,
Rasool e paak ki chahat Abu Bakar Siddiq,
Hain aap faqre khilafat Abu Bakar Siddiq.
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.
Nabi ke baad jo afzal hai sare alam Mai,
Nabi ke baad jo afzal hai sare alam Mai,
Wahi hai shan e sadaqat,
Wahi hai shan e sadaqat Abu Bakar Siddiq.
Wahi hai shan e sadaqat Abu Bakar Siddiq.
Pahela madad gaar, pahela sahabi nabi ne jise her qadam pe dua di, wo afzal bashar baad az ambiya hain, wo jane sadaqat wo jane wafa hain, fereshte usi ki adaon ke ashiq, usi ki namaze duaon ke ashiq,
Sahabi ho aisa, imamon se ala, Muhammad ( sallal laho ala Muhammad) se herdam wafa karne wala, wo Siddiq Akber ke jis ka laqab hai, wo pahela khalifa, wo pahela Arab hai.
Bashar ki sadaqat miyar tahera, sadaqat ka uncha wo minaar tahera, chatano mazbot uska khadam hai ,wo chalta hua aik bage haram that, wo sara tha talim e quran jaisa khuda ka aik aik ferman jaisa,
Zabeen pe wo arshe bari dekh taa hai, wo sub se nirala wo sub se juda hai, dua ke liye agar wo milade, khuda uspe apne khazane lota de.
Wo insaniyat qayam moratib usi ke liye hain bade sub maratib, wo Siddiq Akber ke jis ka laqab hai wo pahela khalifa wo pahela Arab hai.
Jab bhi khuda se dua mangta hai wo apne liye Mustafa ( sallallahu alai hi wa Salam) mangta hai, meri jaan khurban jane wafa pe, mai razi wo razi hu uski riza pe, Meri Jan jane wafa ke liye hai، mera her nafas Mustafa ( sallallahu alai hi wa Salam) ke liye hai, mai saubar loton mai saubar aaon
Mai khurban jaon, mai khurban jaon, Mai khurban jaon.
Kiya qoob piyari hai uski duayeen, gunahon se mahfooz uski adayen wo pahela mujahid wo pahela khalifa wo pahela gazi wo pahela khalifa wo pahela namazi, Zameen pe charag e wafa ban ke aya, Tera sani paida na paida huga, kio mard aisa hua hai na huga, wo Siddiq Akber ke jis ka laqab hai wo pahela khalifa wo pahela Arab hai.
Sadaqat ka paikar samandar wafa ka, wo gamqawar pahela rasool e khuda ka, Nabi se wo nazren hata nahi hai, Jahan per nabi hain wo ab bhi waheen hain, wo iman lane machane mai pahela, wo bare khilafat uthane mai pahela, sadaqat shoja at mai wo sub se age, Nabi ki ita at mai wo sub se age, rasol e khuda pe fida hune wala, wo jane wafa pe fida hune wala,
Wo sare ke sara khuda ke liye tha, wo zinda tha faqat Mustafa ( sallallahu alai hi wa Salam) ke liye tha, wo Siddiq Akber ke jis ka laqab hai wo pahela khalifa wo pahela Arab hai.
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.
Faqat basher hi nahi arsh per fireshte bhi,
Hai karte aapki izzat Abu Bakar Siddiq.
Rasool e paak ki chahat Abu Bakar Siddiq,
Hain aap faqre khilafat Abu Bakar Siddiq.
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula,
Ali ka husakta nahi raoze maheshar tak
Jo rakhe tujh se adawat Abu Bakar Siddiq.
Mustafa ( sallallahu alai hi wa Salam) ke dil dar bhi Siddiq Hain, jaa nisar yaar e gaar bhi Siddiq Hain, dushman e deen ke liye talwar bhi Siddiq Hain,
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.
Awwal bhi tu hai maula afzal bhi tu hai maula,
Nabi ke pass jo suye huye hain rahat se,
Wahi hai sahib e izzat Abu Bakar Siddiq.
Rasool e paak ki chahat Abu Bakar Siddiq,
Hain aap faqre khilafat Abu Bakar Siddiq.
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.
Moqali feen talap te rahe ge yoon hi tere,
Naho gi kam teri shahurat Abu Bakar Siddiq.
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.
Sahabiyon ki jamat ke peshwa hain aap,
Subhi ko tujh se hai ulfat Abu Bakar Siddiq.
Rasool e paak ki chahat Abu Bakar Siddiq
Hain aap faqre khilafat Abu Bakar Siddiq.
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.
Qayam roze jaza hum ko baqsh wale been,
Rafeeq e Malik e jannat Abu Bakar Siddiq.
Rasool e paak ki chahat Abu Bakar Siddiq,
Hain aap faqre khilafat Abu Bakar Siddiq.
Siddiq Maula Mere Siddiq Maula Mere Siddiq Maula.