Pages

Hamd Hai Us Zaat Ko Jisne Musalma'n Kar Diya |Sufi Jamil E Qadri

    HAMD E ALLHA AZWAJAl

 
 Khalifa Ala Hazrat Maddah E habeeb
 
    Sufi Jamil E Qadri.                


Hamd Hai Us Zaat Ko Jisne Musalmaa'n kardiya.

Ishq e Sultan e jahan Sene mai pinhaa'n kardiya.


Hogai kafor zulmat dill monawar hugaye

Jis taraf bhi usne apna rooye tabaa'n kardiya.

Jalwaye zaiba me aine ko hairaa'n kardiya

Maher o maa ko unke talwon ne pashemaa'n kardiya.


Aye shah e lolak Teri afernesh ke liye,

Haq ne lafze kon se paida sazo samaa'n kardiya.


Kiya kashish thi sarwar e alam ke husne paak Mai

Sekdon koffar ko dam mai mosalmaa'n kardiya.


Nimate koneen dee Kar unke daste paak mai

Dono alam ko khuda ne unko mahemaa'n kardiya.


Yaad ferma ker qasam haq ne Zameen paak ki

Khak e naale Mustafa (sallallahu alai hi wa Salam) ko taaj shahaa'n kardiya.


Doori hi se sabz gunbad ki jhalak ko dekh ker

Aashiqon ne tokde tokde jeeb o damaa'n kardiya.


Us Arab ke Chand ka jalwa mujhe darkar hai

Jisne her zarre ko apne mahe tabaa'n kardiya.


Sekdon Murda dilon ko noor e ima'n baqsh ker

Zindaye javeed aye isa dauraa'n kerdiya.


Gerya o zari ne Raton ko Teri abr e karam

Misl e gull subhe qiyamat ham ko qandaa'n kardiya.


Ya rasollallha ( sallallahu alai hi wa Salam) agisni waqt hai imadad ka

Nafs e kafir ne mujhe behad pareshaa'n kardiya.


Teri nusrat aye se nazuk waqt Mai hami rahe 

Najdiyon ne ya nabi lakhon ko shaitaa'n kardiya.


Hai jameel e Qadri per fazal allha o rasool

Tera murshid hazrat e ahemad raza kha'n kardiya.


Hai gulam e Qadri  ye fazl allha o rasool

Tera murshid hazrat e akhtar Raza Kha'n kardiya.


Hai gulam e azhari ye fazal allha o rasool

Tera qaid hazrat e asjad Raza Khan kardiya.


Hamd Hai Us Zaat Ko Jisne Musalma'n kardiya,

Ishq e Sultan e jahan Sene mai pinha'n kardiya.


Sawab ki niyat se channel ko subscribe kijiye jazak allha qaira ⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️⬇️


https://youtube.com/c/MahammedyounusRazaqadri







              

3 comments

  1. Mashaallha
  2. Mashaallha
  3. Subhanallha
Please have any doubts, please let me know
Post a Comment